Refund & Return Policy
Digital products hone ki wajah se ye policy thodi alag hai - dhyaan se padho.
1. Digital Product me Return kyu nahi hota?
PDF ek baar download ho jaaye to usko wapas nahi liya ja sakta. Isliye physical product ki tarah Return nahi hota.
2. Refund kab milega? ✅
- Payment kat gaya par Order / Download Link nahi mila
- Tumse galti se 2 baar payment ho gaya (Double Payment)
- Product ki file kharab hai / khul hi nahi rahi aur hum 48 ghante me theek na kar paye
3. Refund kab NAHI milega? ❌
- Product download kar liya aur ab "pasand nahi aaya" keh rahe ho
- Galat Email dal diya aur link nahi mila (pehle Spam / Junk Folder check karo)
- Product ko dusron ko baant diya ya bech diya
4. Refund kaise maange?
7 din ke andar Contact Us par likho - Order Number + Payment Screenshot + Wajah ke saath. Hum 2-3 din me check karke jawab denge.
5. Refund kitne din me aayega?
Refund approve hone ke baad paisa usi UPI / Card / Bank Account me 5-7 working days me aayega jahan se payment hua tha.
6. FREE Products
FREE products par refund ka sawal hi nahi hai, kyunki koi payment hi nahi hua.